Karachi Lingo

Lyrics
[Verse 1: Talha Anjum] Aaj mein explain karunga Karachi Lingo Aur takkar dunga playback singer Yo Yo Honey Singh ko Kaise na deta takkar mein sunta hu Bohemia Paisa, nasha, pyaar teen roz mein batti dunya Aur isi dunya mein mojood Karachi Naami garaami, bharray paray haraami Numainda hu awaami Bun Kabab khata hu Burns Road se sirf shaami Lingo matlab language, language matlab zabaan Zabaan matlab boli, boli matlab takya-kalaam Baat hogi khul ke, baat hogi sar-e-aam Baatein hogi gandi, aur loug honge badnaam Jaise ke woh jo baat-baat pe English ghusate hain Do you eat girls? Kya aap bachiya khaatay hain? You snatched my mouth talk, mere mu ki baat cheen li Urdu aur English ka sex karwate hain ye mainly Karachi mein har dusra tattu moochein rakh ke betha Tao deta hai jaise Maula Jat ka najaiz beta hai Aise budhay jo ball ke bahane chhat pe bulatay hain Aur andheri raato mein ganjay kabotar dikhatay hain In logo ko hum kehtay hain kya? Luandaybaaz! Is liye kyunke nahi aate ye, launday baaz Lingo meri gandi, ae rapper'an di pain di Ecstasy ko candy, aur shareefoo ko laindi [Chorus: Talha Anjum] K to the A to the R to the A C-H-I, Lingo Jo-jo samajhta hai baaton ko meri Woh mere hi jesa hai, bingo K to the A to the R to the A C-H-I, Lingo Jo-jo samajhta hai baaton ko meri Woh mere hi jesa hai, bingo [Verse 2: Talhah Yunus] Aik time tha jab mein ne charsiyo se yaari laga li Unke code words aur phir baat baat pe gaali Bhencho scoring karein, bhencho cash karado Bhencho fire karo, bhencho agay barha do Lougo ke liye Do Darya, mailo ke liye woh patti Tumharay liye Port Grand, unke liye Netti Chetti Kaali wardi waalay prani ko kehtay hain tulla Jo achi baat bata deta wo Haji Sanaullah Traffic walay ko dekhein aur bolein farmi anda Abba daantay tou kehtay jaani ghar se hai danda Aise aur bohot lafz hain jaise ghoori, khunnas, kapooray Ye lafzo ka daldal hai meri baat maan, dur he reh Tumhein anday wala burger hai pasand par majbooran Tumhein khana parta hai saala wo Burger King ka chooran Tum na chah ke bhi daur paray burger banne ki race mein Mujhay phaansi di jaa rahi hai, patah hai kis case mein? Kyunke mein mu-phatt hu aur sab ki phatt'ti hai mujhse Phatt'ti matlab darna, khauf khana, pishaab nikal ana Sab ka apna-apna level hai bhai, ab kya chupaana Ehl-e-watan, Ehl-e-khaana, khaas taur pe zanana [Chorus: Talha Anjum] K to the A to the R to the A C-H-I, Lingo Jo-jo samajhta hai baaton ko meri Woh mere hi jesa hai, bingo K to the A to the R to the A C-H-I, Lingo Jo-jo samajhta hai baaton ko meri Woh mere hi jesa hai, bingo [Verse 3: Talha Anjum] Tu ne mere jaana, kabhi nahi jaana Ke zamana badla aur bann gayi tu jaanu (Chal koi nahi) Janu se tu shona banni, shona se tu baby hogayi Baby se bae, aur bae se tu be-qaabu Pyaar ki bhaasha, I mean ye pyaar ki lingo Samajh nahi paaya rapper kabhi apne dil ko Rapper rehta bhutt, aur rapper rehta taur mein Rapper ke baray dost yaar bethay Johar mein [Verse 4: Talhah Yunus] Lahoriyo ki lingo tou bohot zyada simple Bas chawal, chawal, chawal, chawal, shokha, shokha, chawal Ye wala scene miss karao, boy cigarette yes karao Yamaha ko yama, paihe de de mama Bakwaas ko bukwaas, iPhone ko mobail Pehle aashiq wafa dhoondtay thay, ab jaga dhoondtay hain Khud pe yaqeen dilatay thay, ab pakar ke hilatay hain Kelay-shelay khatay hain, gym jaate hain Uthatay hain 2 kilo, do-sou selfies banate hain Pakistani government kyun work nahi karti? Aur Pakistani larkian kyun twerk nahi karti? Meri Pakistani larkian kyun twerk nahi karti? [Chorus: Talha Anjum] K to the A to the R to the A C-H-I, Lingo Jo-jo samajhta hai baaton ko meri Woh mere hi jesa hai, bingo K to the A to the R to the A C-H-I, Lingo Jo-jo samajhta hai baaton ko meri Woh mere hi jesa hai, bingo [Outro: Talha Anjum & Talhah Yunus] K-K-K-A C-H-I (C-H-I, C-H-I) Lingo (Lingo, lingo) Yeah, yeah, yeah C-H-I (C-H-I, C-H-I) Yeah, yeah, yeah Lingo (Lingo, lingo)
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Writers
- Talha Anjum
- Talhah Yunus