Dear Zainab

Lyrics
[Chorus: Talha Anjum] Dear Zainab, qoum sharminda hai Ke margayi Hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain Dear Zainab, ab tu salamat hai Teri hasti hui woh tasveer ek jeet ki alamat hai Dear Zainab, qoum sharminda hai Ke margayi Hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain Dear Zainab, ab tu salamat hai Teri hasti hui woh tasveer ek jeet ki alamat hai [Verse 1: Talha Anjum] Umar saat saal, befikar woh kal se Woh jaa rahi hai ghar se madarse ko chal ke Chota sa qad, aur qadam uske halke Aur uski aankhon mai se dua maa ki chalke Usse na samajh aayi hua kia aur hua kyu (Kyu) Woh puchegi khuda se kon tha woh aisa kyu (Kyu, yeah) Kitne sawaal honge uske labon pe Aur idhar police chirkay namak mere zakhmon pe Ab peeche rehgaye muzakarat, muzahiray Social media bhi chup, bhool gaye sab, zaahir hai Hum tou bas follow karte trend Waqt guzar jaata, every story's gotta end Lekin kab tak? Hawwa ki beti darti rahaygi Aur kab tak? Woh izzat k maaray hi chup rahegi Aur kab tak? Ahl-e-khana izzat bachate rahengay Aur kab tak? Hum na-baligh janazay uthate rahengay? [Chorus: Talha Anjum] Dear Zainab, qoum sharminda hai Ke margayi Hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain Dear Zainab, ab tu salamat hai Teri hasti hui woh tasveer ek jeet ki alamat hai Dear Zainab, qoum sharminda hai Ke margayi Hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain Dear Zainab, ab tu salamat hai Teri hasti hui woh tasveer ek jeet ki alamat hai [Verse 2: Talhah Yunus] Bare aksar kehte lafzon mai bari taakat hai Masla logon mai nai, masla sakafat mai Masla is soch mai, aur na kero khul k baat apno se Tabhi mard geedar banne sabko daboch rahay Mai saaray mardon se abhi mukhatib Tum saaray izzat kamatay Usko mili izzat tohfay mai Khuda se Kyun ye log bhul jatay? Ke inko dunya mai lanay wali ek aurat zaat hai Bari ajeeb si baat hai Apne hi bachon ke saamne khul nai patay Maashray ke is karway sach ko rakhte ye chupa ke Kyun nahi sikhate? Kyun unko nai batate? Kia ghalat aur kia sahi aur Kaafi bachon ko zinda laashen banane wale apni hi Kyun ye baaten dabraheen? (Kyun ye baaten dabraheen?) Aur kyun hamare mulk ki izzat zinda laashen bann raheen? Jungle ka hai qanoon yahan Log saaray ghaafil Zameer ko bechen Hawas ki khatir, mujhse pucho tou Hum saaray hi Zainab ke qaatil Bacha har ghar ka baray naazon se jo palta Kiun is maashray se darta Haivano ki is basti mai kyun suuraj nai nikalta? Aur sirf soch lene se andheray nai jatay Chiragh bhi khud bhi nai jalta, usko jalana parta (Chiragh bhi khud bhi nai jalta, usko jalana parta) (Chiragh bhi khud bhi nai jalta, usko jalana parta) (Chiragh bhi khud bhi nai jalta, usko jalana parta) [Chorus: Talha Anjum] Dear Zainab, qoum sharminda hai Ke margayi Hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain Dear Zainab, ab tu salamat hai Teri hasti hui woh tasveer ek jeet ki alamat hai Dear Zainab, qoum sharminda hai Ke margayi Hawwa ki beti, maarnay walay zinda hain Dear Zainab, ab tu salamat hai Teri hasti hui woh tasveer ek jeet ki alamat hai
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Writers
- Talha Anjum
- Talhah Yunus