Yaad Karna

Lyrics
Marr bhi jaaun toh Mat rona Beeti hui baaton ko Jaagi hui raaton ko Yaad karna Yaad karna aur jee lena Tum mere naam ko Kabhi apnay naam se Bicharhnay na dena Mere qadmon ki chaap Ghar ke darwaazay se Nikalnay na dena Mujhay marnay na dena Apni palkein tum na bhigona Mat rona Beeti hui baaton ko Jaagi hui raaton ko Yaad karna Yaad karna aur jee lena Mein apni awaaz Aur apnay saaray geet Tumhay de jaaun ga Meri sab cheezon ko Yun hi rehnay dena Jaisay shaam hotay hi Mein laut ke aaun ga Mujhay kho kar bhi kabhi na khona Mat rona Beeti hui baaton ko Jaagi hui raaton ko Yaad karna Yaad karna aur jee lena Marr bhi jaaun toh Mat rona Beeti hui baaton ko Jaagi hui raaton ko Yaad karna Jee lena Mat rona
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Writers
- Shoaib Mansoor
- Rohail Hyatt