Chiryan da Chamba

Lyrics
Saada chiryaan da chamba ve baabula ve Saada chiryaan da chamba ve baabula Asaan udd jaana Asaan udd jaana Saada chiryaan da chamba ve baabula Asaan udd jaana Asaan udd jaana Saada chiryaan da chamba ve baabula Saada chiryaan da chamba Baaba ji Aap ka khatt mila Yoon laga mere ghar se koyi aa gaya Aap ka khatt mere haath mein hai Aisa lag raha hai aap mera haath pakre hue hain Chhorna naheen Do din se yahaan baarishen ho rahi hain Aur main ghar mein baiá¹hi hui hoon Apne ghar mein baarish mein kitna nahaati thi Amma daandti thi mujhe aur mazah aata tha Aasmaan ki taraf dekh ke kahti thi Allah saahab, aur baarish bhejo Yaad hai abba ji, ek din bohat baarish ho rahi thi Aap ko mujhe skool chhorna tha Kih saaikal ke pahiyye ki hawa nikal gayi Wo main ne nikaali thi Skool naheen gai aur baarish mein nahaati rahi Bhaai hameshah mujh se lar kar Mujhe ghar mein le jaata tha Aur main roti hui aa kar aap se lipaá¹ jaaya karti thi Baaba ji Yahaan koyi mujh se larta hi naheen Bohat khaamoshi hai Main to aap ki laadli thi Phir mujhe itni door kyoon bhej diya Amma kaisi hai Kis ko daaná¹ti hai Chiryon se baaten kaun karta hai Bakriyon ko chaara kaun daalta hai Tumhaari pagri mein kalaf kaun lagaata hai Bohat kuchh likhna chaahti hoon baabu ji Likkha naheen ja raha Tum sab bohat yaad aate ho Tumhaari laadli Baiá¹hi janj booha mal ke Baiá¹hi janj booha mal ke Hona main pardesan bhalke Ghar diyaan kunjiyaan saambh le maaen ni toon Ghar diyaan kunjiyaan saambh le maaen Asaan udd jaana Asaan udd jaana Saada chiryaan da chamba Baaba ji naaraaz ho Agar naheen ho to phir apni laadli ko khatt kyoon naheen likkha Bohat saari baaten tumhen bataani hain Amma se kahne apni hari chaadar taalaash karna chhor de Wo main ne chupke se apne bakse mein rakh li Jab amma ki yaad aati hai, main wo chaadar soongh leti hoon Aur yoon lagta hai main amma ki baanhon mein hoon Tum ne jo qalam bhaai ke paas hone pe us ko diya tha Wo bhi main le aayi Ab bhaai qalam dhoonde ga to mujhe yaad kare ga Tumhaari ṭooṭi hui 'ainak bhi apne saath le aayi Saara din sheeshe jorne ki koshish karti rahti hoon Aur tum saamne baiá¹he rahte ho Baaba ji inhi baaton se to mera dil kaá¹ jaata hai Baaba ji kal raat main ne ik khaab dekha Tum amma bhaai sahn mein baiá¹he bohat khush nazar aaye Magar main udaas ho gayi Aam ke per pe jo mera jhoola tha naan wo kaheen nazar naheen aaya Tum logon ne aisa kyoon kiya Use dalwa do Main apne usi jhoole par baiá¹hti hoon Aur kacche aam tor ke khaane lagti hoon Tum ne achchha naheen kiya baaba ji Tumhaari laadli Ambri baabal veer paye takde Ambri baabal veer paye takde Likhiyaan noon oh mor na sakde Ṭuṭṭ gaye saare ajj maan mere Ṭuṭṭ gaye saare ajj maan we Asaan udd jaana Asaan udd jaana Saada chiryaan da chamba ve baabula ve Saada chiryaan da chamba Chiryaan da chamba Chiryaan da chamba Chiryaan da chamba Chiryaan da chamba
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Producers
- Strings