Picture Me

Lyrics
[Verse] Akela falak per zameen par utaar do Asaishein zyada hain azmaishein udhar do Sohbatoun me bigad gaya hoon sudhar do Bhai mujhe jeena hi nahi hai mujhe maar do Nazarband aas pass dairey hain Gaaney beat ke bina faqat mushaire the Kya faut ho gayi meri hamdardi kahein Sab khatam kya? Ab kya meri koi zindagi nahi? Paise hain per shouk uski majboori hai Maine khudme esi zindagi qabooli hai Ab kamre me ghadi ki jaga sooli hai Dafan krdia hai dil likhna zaroori hai Sawal yeh! woh daghadar kiska tha? Tum poochte ho aksar ke woh yaar kiska tha Mukar gaya woh aein waqt per akay Kese kahoon me tumhe? Me tarafdaar kiska tha Ashqon ka darya samandar hogya Khush haal tha yeh dil bohat ab khandar hogya Woh toh aya nahi palat k dobara phir kabhi Me ziddi tha bada uski qabar pey so gya Baap ko milne jata tha me hawalatoun mein Kyun jhoot bolun nahi guzari raatein faaqoun mein Bachpan gum gaya hai ilm k khazanoun mein Samajh ab jawani bhi dе chuka kala aur gaano mein Fatahaein laazim ho chuki hein humе ghaznavi kahein Poora sheher janta hai phir bhi ajnabi rahe Hum Jaun k mizaaj k hein sahab samjha toh karo Khafa ho kar chal pade? Ya phir afsurdgi sahein? Hum kadwa bolte hain zeher khana seekh lein Music haram? Khuda se kitne qareeb hain Shan me bara betha unki jo mere hareef the Inka honsla badhado yeh mere hareef hain Mein shaheen mjhe gino nahi aqaabo mein Bedharak khare hoye inte azaaboun mein Chhordi parhai hunar laga haathoun mein Idher ghulami bikti kaghaz k lifafoun mein Industry side kare jese hum mein kaantein houn Kaam bolta hai hum nahi link banate bro Me against world inko beef chahiye dhub 40 bars one go mein, chahiye nahi buzz No...No...!!
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Writers
- JANI