this is how it feels

Lyrics
[Verse 1] Aayi khushbu teri, aane ka andesha hai Mein ne pehli baar khushi se ghar sameta hai Tu aa rahi hai, woh zamane bhar se kehta hai Aik chahne wala tera iss taraf bhi rehta hai Na mujh ko neend aati hai, naa chain parta hai Seene mein aik pathar khamkha dharakta hai Ghanudgi mein likhta hun mein gaane jaaneman Ab hosh mein to peene wala rang badalta hai Har sheher ke mausam dekhe hum ne saath mein Mein tum se dil ki baatein keh gya mazak mein Meri kitaabon ke woh phool mehke yaad mein Tu aisa noor ke nazar lagay naqaab mein Tum haqeeqat ho, fasana ho, ya kuch nahi Tum meri akhri mohabbat ho to dukh nahi Ab tu yaad karne par bhi yaad aye na Bus aik gumaan hai, kya woh mere baad khush rahi [Bridge] Dhundhala-dhundhala sa paaya Zehan mein tu jab jab aaya Teri khoj mein kya kya jhela Na dhoop mili na saaya Mehroom rahe the musaafir Ghar dhoondh rahe the musaafir Tu ne aisa kaam dikhaya Manzil bhool gye the musaafir [Verse 2] Bazaaron mein tera haath chorr dena Mera rooth ke manana, phir koi baat bol dena Dil sau baar torr dena, teri baat aur hai na Jo alehda kare tum se, woh diwaar torr dena Mayusion mein umar qaid ho jaye Shifa bhi mile, dawai se parhez ho jaye Mein tujh pe tab tak likhta rahun jab tak aik hojaayen Jism dhal jaye kahin aur baal safaid ho jaayen Aaj phir kisi ki maut ki khabar suni Ab herat hoti hai zindagi kitni choti hai Ab mein aksar is khayal mein parr jata hun Bata de shaks koi udaasi kahan hoti hai Sawaal kar to lena hum jawab bhi to aaye Ab issi kashmakash mein lage kabhi ji na paaye Saans to sabhi lete hain na zinda rehne ko Shikayat itni si hai sub ko jeena bhi to aaye [Interlude: Jaun Elia] Chaarasazon ki chaarasaazi se Dard badnam to nahi hoga Haan dawa do magar yeh batla do Mujhe araam to nahi hoga [Verse 3] Kya bataun'ga zamane ko mein? Majboori keh dun tere jaane ko mein? Sabhi lut gya bazaar mein wafa ki Dil kahan laun'ga lagane ko mein? Ab laazim hogya kya jaana tera? Kon sunega ab yeh gaana mera? Hum dono ke tou peshe bhi alag the Hasana kaam aur rulana tera Ab mein hun, aur kuch to yaad teri Dekh rahi hai doob raha hun, kyun nahi haath de rahi? Khaak kahein hum, tu chamakta mehtaab thehri Karo na baat aisi, lag jaaye tan mein aag meri Dafa karo na mujh ko, tabah kro na mujh ko Udaasi ka garha hun, phir aa bharo na mujh ko Aisa karo na ke mein phir se kahin ka na rahun Bulandiyon par hun khara par woh sataah he kahun
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Writers
- JANI