No One Like Us

Lyrics
[Verse 1: Abdullah Maharvi] Tu naa jaanay dil ka haal Kya sunaayein, han Kho gaye thay, jee naa paayein Aankhein yeh ruaan Thi wafaayein, aashiqui thi Kuch hai naa bacha Yaadein baaqi, tootay waaday Rahi hain dooriyaan Haathon may haath thay, hum dono saath thay Ghum thay baant'te, baant'te, baant'te Tujhko he maangtay, dil se hain chaahtay Tu naa jaanay, yeh naa jaanay Kaisi saza yeh hai [Chorus: Abdullah Maharvi] Ni Ranjhna ni Mehrama ni Katon badliyaan tu parshawan ni Ni Ranjhna ni Mehrama ni Katon badliyaan tu parshawan ni [Verse 2: JANI] Kisi shayar ki wafa ho tum Jo kisi ko naa mili woh kehkashan ho tum Ehsas hai par wajood nahi, hawa ho tum Waqt tham gya hai jaise alvida ho tum Kabhi jaan keh diya, kabhi anjaan keh diya Kabhi apna lagwaya, kabhi mehman keh diya Zaraf dekh mera pathar ko insaan keh diya Mein ne muthi jitne dil ko bhi makaan keh diya Kya bataoon uss sheher ka tujh ko? Koi lauta he nahi ab tak wahan se mera Kya bataoon uss qeher ka tujh ko? Ke jis par dhaaya tu ne, woh bhi kahin ka naa thehra Ek lutf, ek nasha hai saza may teri Ek takleef, ek jhijhak hai adaa may teri Kuch bacha he nahi kehne ko ab paas mere Jao phir karo mohabbat yoon bala se meri Pyaar tha he nahi naseeb may, mashhoori thi Teri gali se janaza, koshish poori thi Lafz kam paray, ghazal adhoori thi Umar kam parr jaati, iss qisam ki doori thi Rakh de tu seene pe pathar ke mujhe saans naa aaye Mujhe neend aaye sirhanay par, yoon khuwab naa aayein Mujhe khauf aaye, gunnah hai sab, azaab naa aaye De baddua aisi mujhe kabhi yaad naa aaye [Chorus: Abdullah Maharvi] Ni Ranjhna ni Mehrama ni Katon badliyan tu parshawan ni Ni Ranjhna ni Mehrama ni Katon badliaan tu parshawan ni [Outro: Abdullah Maharvi] Ni Ranjhna ni Mehrama ni Katon badliaan tu parshawan ni
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Writers
- JANI
- Abdullah Maharvi