Blindfold

Album cover art for "Blindfold" by JANI

JANI - Rap, Urdu - اُردُو

Blindfold

0 Plays

Duration: 2:34

View ArtistView Album

Lyrics

Language:

[Verse 1] Sab mere ghusse se tang hain koi na pooche dil ka haal kya? Nahi uthata hun phone mein kisi ka mera dil nai chahta Maa baatein sunaye mein raato ko waqt par ghar nai ata Heavy anxiety panic attacks mein jagah sey hil nai paata Kar gaye bad zabani Par koi aik martaba nai Lagan kuch iss tarah ki Ke kardun inteha bhi Eenth sey eenth baja di Bheer sey bheer jama ki Kis moun sey mangun mein madad? Yeh dunya haq jatati hai Kya meri koshish abb sahi mai kisi kaam nai ati? Ya mujhey subah ka saweera bol kar kisi ney shaam dikhadi? Phanso nai mujh mai karou nai maghaz maari yeh khamakha ki Sab Karam Uss Maalik ka bhejey Woh hunar yeh aasmaani Ehsaas kay zehan tabut rakhtey hai nazar yeh bahar nai ayega Na off hain here upon the same beat tou beta tu star kehlayеga? Look out to table return, mila hai sab auqaat sey zyada Stood on еverything i said, banta nai kisi ka piyaada Inn sab kay shikwey ginta hun Par iraadou mai pukhta hun Yeh kiya mitayengey mujhey? Logo kay dil mai zinda hun Yeh khaatey khaar hai mujhsey Mein kis hadh tak sanjeeda lun? Mein kiyun kharach karun safhey mai? Tum kou lun pey likhta hun [Interlude] JANI! JANI! JANI! [Verse 2] Mera shehar jalah Tou kitney ghar paley Log ayaash shehar tabah abb dikhtey bas waqt par hain Middle fingers to the government Kon kaisa hai sab khabar hai Rakba hai shehar ka zyada gharou sey zyada hain qabrey Kabhi mein hit tou kabhi mein flop phenkun Har gaaney kay naam par sooch bechun Har dushman kay aaqs mai dost dekhun Har jeet kay baad flaws mai hun Woh chahtey mar jaye jeetey jee Aur kitney unkou moqay dun? Wajoob hee nai hai tera koi Nai dekhney mujh kou doghley moun Raatou kou neend na aye Khayal kay waapis abb cheen na jaye Phir woh toot'ta hoosla jurey Jou suney woh milney aye Shakk hai salaihaat par Kabhi na kehtey woh moun peu Shabashi ka shoor buht Mein sunn hee na paun yeh choo chein Lagti hai bad'dua mujhey Jab bhi koi kehta hai ban'na hai baap sa Meri aik alag hee zehniyat Mera aik alag mizaaj tha Ghaib kay pardey hatey tab pata lagey kon kis hisaab ka Filhal tou sab takleef mai faraq kiya parey kon kis kitaab ka Kiya baaqi raqeeb thay merey woh? ya bas woh aik gumaan sa? Kiya mera hunar hee merey apnou ki asal tabahi ka samaan tha? Peechey nai hatna abhi bhi kayi dafa mein khud kou daanta Safar mai hun milunga hashar mai tabhi yeh intezaar raha

Rate this song

Rate this song

0/5.0 - 0 Ratings

5
0.0% (0)
4
0.0% (0)
3
0.0% (0)
2
0.0% (0)
1
0.0% (0)

Loading comments...

Credits

Writers
  • JANI