Toothpick

Lyrics
[Verse 1] Ek suhana din dhal raha, hui shaam Taiyyar hoke nikla khaana khaane bahar Pasandida pakwaan, table saanf Fir kursi ne di aaram, lajawab interior aur badhiya tha swaad Waiter ko de di tip, laga lajawab khaana Bahar aake wapas jaana jaha hai thikana Nikaalna tha chaara jo fasa daanto ke beech Tabhi kaano mai sunai di ajeeb si cheez Ek cheekh aisi ki koi kuchla gaya Hmm, mann ulajhta gaya "Insaan tu kya hi naadaan cheez hai, kaafi bad-dimaag, bada satyanashi jeev hai Itni saari akkal hai najaane kya kami hai? Samajh na hai aati, bota barbaadi ke beej hai." Aawaz aa rahi ungliyon ke beech se? Hmm, aawaz aa rahi ungliyon ke beech se. (Yeh kya ho raha hai?) "Hona jo ho raha hai tujhe kya pata? Tu toh apni duniya mai bana bada maharaj Bhari hawa mein gandagi, bohot zyada maatra Aur garmi badh rahi jaise hum mein faasla Pedho ko kaatta mai waha se aata, apne matlab ke liye tu karwaye hadsa Tu bas dekhe aas-paas, jo paiso ka maamla Toh tu jebein bharne ko sabse aage bhaagta!(Waah-waah) [Refrain] Waah, waah, mai shayad nashe mai Ha-ha, ya mai hu sapne mai "Na tu nashe mein na neend mai Arbo hai bhed, yaha bhari padi bheed hai! Na sochi tune cheezein!" [Verse 2] "Jo kursi de aaram aur woh table jispe rakha tha khaana kisse bana? Jis bistar pe li neend toh rishwat na di thhi jaha tune chhini yeh lakdiya lakh Kaatke, haath se, bejaan waha raaste Vikaas ke naam vishwasghaat hai Tere paalne mai palne se arthi pe marne se chitta pe jalne tak kiski bichchi laashein? Bansuri baji, pedho ki rone ki aawaz Par madhur woh sangeet yeh prakriti ka pyaar Hai akriti banane mai aag giri, sune na aapbeeti, insaan khele saap-seedhi Zeher ghole duniya mein, chadhe upar tak Wajood mera maara toh na hota dard Shuru hote beej se aur raakh hote antt mein Aisa kaunsa jeev jo na jeeta hai sangharsh mein? [Refrain 2] Waah, waah, mai tha andhere mein Kya-kya kar baitha apne kabze mein? "Tu bhi jaanwar ajeeb hai Buddhi jo mili toh khudko beche paisa khichne." Theek hai, ha, ha, mai maanta hu galti Hum sab ke paas bohot akkal par na kharchi Jaha zarurat jahaan ko Maarte hum jaa rahe jeene ke aadhar ko [Outro] Mai tera vehem nahi, teri sachchai hu Khai mai khet jaha soch ki sichaai ho Hai bol yeh uske jisse talashta tu Na toothpick, mai teri antaraatma hu GRAV
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Writers
- Gravity