Kaisa Yeh Sawaal?

Album cover art for "Kaisa Yeh Sawaal?" by Gravity

Gravity - Rap

Kaisa Yeh Sawaal?

0 Plays

Duration: 2:51

View ArtistView Album

Lyrics

Language:

[Intro] Pralay, zindagi ka atal satya hai Ashakya hai, rahasya hai Dharti aur prakriti ka jashna hai Pralay paheli, yeh prashna hai Zindagi ka atal satya hai Ashakya hai, rahasya hai Dharti aur prakriti ka jashna hai Pralay paheli, yeh prashna hai [Hook] Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh? Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh? (×2) [Verse: GRAVITY] Jaane anjaane mai khud ki tabahi, aur khudka kasoor Khudke ilahi hai bante fir khudpe hai karte ghuroor Khud hi banate yeh niyam, fir khud hai yeh tode usool Karte hai pyaar khudse fir khudko na karte qabool! Aa fir, yeh aatish ab kar dega sabko tabah Yeh aakhir mai tujhko hi dega daba Yeh maahir hai karne mai sabko gumrah Yeh kaafir par khudko na yeh kho chuka Zinda hu par aatma yeh bojh hai Parmaatma ke dhong par yeh naachte har roz hai Bimaar hai yeh log, saare khaaste, kharochte Yeh raaste marod apne aap ko dabojte Mrityu jakad ki pakad mai hai prtihvi Sabke akkad ke hi jadd se hai nikli Ek se ek, anek vivaad hai, kuch na karo toh astitva barbaad hai Jivan shatranj ka sheh aur maat hai Yoni se nikle uss putra ka shraap hai Jiske nasib mai paap hi paap hai Hai toh garibi na koi baap hai [Hook] Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh? Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh? Utaar naqaab, utaar naqaab, hai kaisa samaaj yeh? Utaar naqaab, utaar naqaab, hai kaisa samaaj yeh?

Rate this song

Rate this song

0/5.0 - 0 Ratings

5
0.0% (0)
4
0.0% (0)
3
0.0% (0)
2
0.0% (0)
1
0.0% (0)

Loading comments...

Credits

Writers
  • Gravity