Prashna Chinha

Album cover art for "Prashna Chinha" by Gravity

Gravity - Rap

Prashna Chinha

0 Plays

Duration: 2:36

View ArtistView Album

Lyrics

Language:

[Intro] Har sawaal ek jawaab ka mohtaaj hai Har jawaab ka astitva ek sawaal hai Par kya aisa koi hai sawaal jiska jawaab ek sawaal hai? (Dharma jaat chhod tu, manushyata ka ban nabhi.) [Hook] Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha Jite hum jo zindagi woh dekho kitni hai vibhinn Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha.[×2] [Verse: GRAVITY] Kya ek sawaal ke liye, logon ne jaane gavayi hai? Kaafi baar, toh kya vichaar, kyu na dikkar? Hoti hatyaen, na aise hota koi jaanisaar Na koi adhyaay, na kisi ko samjhi baarikta Kya baalik naar? Nabaalik vaar, ab na yeh Shalimar! Na Hindustan, na Pakistan, na hai saamajikta Sawaal hai, swarth ya hai bina wajah ki kaalikh ka Sab hai bikau, jaise yeh raaj kisi tawaif ka Tabahi ka, yeh naya daur hua aarambh hai Shanti ki zarurat, dikhta na Ashok stambh hai Asmanjas mai hu main par koi aur na dikhta dangh hai Sunaai na deta kuch bhi bas dikhta yeh laal rang hai Khaya sabne kya hai badduaon ke alawa? Seecha sabne khud hai yeh duaon ka chhalawa Kehte mujhko neech aur adharmi aur shaitan Kyuki kehta mai sachchai aur woh karti hai hairaan! Ha! Jo karte paap unko kehte punya aatma hai Ek roti baat kar woh ban jaata mahatma hai Hai katl-e-aam karke fir banata raasta hai Aise logon se mera na koi vaasta hai Kala ke naam pe yeh bechte vaasna hai Sabke paas gyaan, khana, paani aur koi aas na hai Upar koi bhagwan nahi toh karte kisse prarthna hai Woh hota upar toh sab kuch na hota aaj sa, yeh Zindagi khel nahi par hum logon se khelte hai Humse jo khelte hum unn logon ko jhelte hai Issi wajah se aaj dilon mai sannatta hai Jiske saath jaisa hota hai woh waisa hi ban jaata hai Toh pehla hai sawaal, ke tu kaisa insan hai? Dusra hai sawaal, tere kitne balidaan hai? Teesra, teri harkaton se kitne pareshan hai? Aur choutha, tere chouthe ke liye kaun betaab hai? Inn chaaron ka jawaab hi banega ek sawaal Woh sawaal aisa hoga jiska na hoga jawaab Uss sawaal ka jawaab hai woh gyaan jisse paane ke liye naakaam hai yeh koshishe tamam [Outro] Kya tere paas woh sawaal hai? Tujhe kya mila woh jawaab hai?

Rate this song

Rate this song

0/5.0 - 0 Ratings

5
0.0% (0)
4
0.0% (0)
3
0.0% (0)
2
0.0% (0)
1
0.0% (0)

Loading comments...

Credits

Credits Not Found