Main Tajdaar

Lyrics
[Verse: GRAVITY] Badshahat hai salamat, takht-o-taj pe Yeh talwaarein haath mein leke aate samraat pe Jo kal thhe apne aaj humlavar apne ghar mein Dushman jo aate saamne Palat du paasein shaan se Pehne naqaab, yeh fasate apne jaal mein Jism ki aag mein raakh hona toh aam hai Shaam se subah hai bohot dhokhe, par na roke Duniya mein koi aur nahi, apne hi khanjar ghonpte! [Hook] Mai Tajdaar, bolo Zill-E-Ilaahi Khuda aur kainaat ki badal du mai likhaai! Main Tajdaar! (Main Tajdaar) [Verse 2: GRAVITY] Duniya ghoomti, sab kuch na dekhe durbeen Bahegi nadi khoon ki, talwarein gale bhoolti Lalkaara lakhon ne, unki ummeedein toot gayi Mai bana tajdar, ab falak bhi kadam choomti Jeeta na kisi bhram mein na hi sangharsh mein Karta yalgaar hu, meri fateh hogi jung mein! [Hook] Mai Tajdaar, bolo Zill-E-Ilaahi Khuda aur kainaat ki badal du mai likhaai! Mai Tajdaar, bolo Zill-E-Ilaahi Khuda aur kainaat ki badal du mai likhaai!
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Writers
- Gravity