Bandish

Lyrics
[Verse: GRAVITY] Meri zindagi mein kuch baaki na hai Yeh dard hi mera aashiyan hai Har kisi mai hoti khaamiya Par sab na bulate barbaadiya hai? Yeh kya kiya hai maine, khud hi na jaanu mai Apne hi paap ko ab na pehchanu mai Kitne hai saal guzare inn raaton mai Dekhke sapne jo ab poore na honge! Ha, kho diya apni aulaad ko Boya tha beej, woh bana tha pedh Par kisi barbaadi ke hi japet Mai aake uska ab hua naash toh Kya karu? Mitti mai aabru Khudke hi karmo mai jhaak lu Budhape ka tha sahara Uski kandhe pe yeh laash lu Chita pe aaj tu soya par fir bhi kyu tu lag raha zinda hai Kitne thhe bandhan yeh tujhpe par beta tu aaj aazad parinda hai Kaash tujhse mai aaj maang lu maafi par tujhme na jaan hai? Sunn bhi leta mai baatein yeh teri par na tu ab mere saath hai [Refrain] Saason ko rok, inn aakhon mai jhok yeh dhool, tu bhul chuka hai Karna mat shor, yeh bandish woh dor jo mukt, ab toot chuka hai Saason ko rok, inn aakhon mai jhok yeh dhool, tu bhul chuka hai Karna mat shor, aawazo ke sagar mai dekh, tu doob chuka hai [Verse: GRAVITY] Pita, maafi ki aapko jalani padi yeh chita Aapke sapne mai aana yeh mera Kyuki jeete jee sirf andhera tha aapke aur mere beech Hume samay na mila. Kaisa tha woh silsila? Aap hi ki wajah se mili yeh saasein Aap hi ki wajah se khudme jhaakke khaamiya dhundhna seekha Chizo ki koi kami kya? Na Par aapki galti thhi kya? Ha Aap hi ke kaaran toh khoya tha khudpe vishwash Aap hi ke kaaran apnana pada mujhe yeh jhootha aur bhadda samaj Aap hi ke kaaran toh, aap hi ke kaaran toh sapne yeh chhupkar ban gaye thhe raaz Aap hi ke kaaran toh kabhi na kaabil ban paaya uthane ke liye aawaz Aap hi ke kaaran toh, aap hi ke kaaran toh jal rahi chandan pe meri yeh laash Aap hi ke kaaran toh khudse naaraazi, aur khudki barbaadi ho jaane se maine laga li thhi faasi [Transitional Scream] [Refrain] Saason ko rok, inn aakhon mai jhok yeh dhool, tu bhul chuka hai Karna mat shor, yeh bandish woh dor jo mukt, ab toot chuka hai Saason ko rok, inn aakhon mai jhok yeh dhool, tu bhul chuka hai Karna mat shor, aawazo ke sagar mai dekh, tu doob chuka hai
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Writers
- Gravity