Naya Pakistan

Album cover art for "Naya Pakistan" by Young Stunners

Young Stunners - Rap, Romanized

Naya Pakistan

0 Plays

Duration: 2:42

View ArtistView Album

Lyrics

Language:

[Intro: Talhah Yunus] Yeah, yeah, yeah, yeah Young Stunner 21 gun salute Real talk Suno [Verse 1: Talha Anjum] Khush-amdeed ye hai naya Pakistan Shareef rehte jail mein ghareeb hain behaal Savaal uthta hai aakhir koi hal hai Jis mein paani aaye roz aisa koi nal hai Jaani ye toh impossible hai Ye politics toh bas ek daldal hai Jismein ham saare Pakistani saath chal rahe Chulha jalta nahin aur gutter hain ubal rahe Dam banane hain, darakht lagaane hain Bacchon ko parhna hai, ab aage barhna hai Mujhe umeed hai ke, tabdeeli hai aani Suno kahaani shaheedon ki maa ki zubaani Main hoon Pakistan, main Abdul Sattar Edhi Main hoon Pakistan, main hoon Shahid Afridi Main hoon Pakistan, main Iqbal ka ek khuwaab tha Main hoon Pakistan, main Jinnah ka ehsaan tha (Ehsan tha) [Chorus: Talhah Yunus] Khush-amdeed ye hai naya Pakistan Khush-amdeed ye hai naya Pakistan Khush-amdeed ye hai naya Pakistan Khuwaab Iqbal ka, Quaid ka ehsaan Khush-amdeed ye hai naya Pakistan Khuwaab Iqbal ka, Quaid ka ehsaan [Verse 2: Talhah Yunus] Main likhoon sach, lage karva koi parvah nahin Phir aurat zaat ke piche ham koi larva nahin Mulk bada soch choti ikhtilaf vo Aur jaan sasti, roti mehengi phir bhi bardaasht bohot Aur itihaas bole ham kisi se kam nahin Main hoon Pakistan, main koi terrorist ya bomb nahin Tabdeeli aayi nahin, usko laana hai Shaoor baato, apne girebaan mein jhanko, shuru karo khud se Hamne corrupt ko chupaana nahin giraana hai Aage jaana hai, ghurbat ko mitaana hai Bacchon ko parhana hai aur gand nahin phailaana hai Aakhir kab tak sirf ameer chhape noton aur relax kare Ghareeb dab raha, middle class tax bhare Samaaye kone ka aakhir jaago toh sahi Gumraah toh voh hai jo ghar se nikle hi nahin Ye naya Pakistan, umeed ab koi behaal na ho Shauq-e-kamaal na ho, maan ka daaman laal na ho Khuda kare ke mere arz-e-paak pe utre vo fasl-e-gul jise andesha-e-zavaal na ho [Chorus: Talhah Yunus] Khush-amdeed ye hai naya Pakistan Khush-amdeed ye hai naya Pakistan Khush-amdeed ye hai naya Pakistan Khuwaab Iqbal ka, Quaid ka ehsaan Khush-amdeed ye hai naya Pakistan Khuwaab Iqbal ka, Quaid ka ehsaan

Rate this song

Rate this song

0/5.0 - 0 Ratings

5
0.0% (0)
4
0.0% (0)
3
0.0% (0)
2
0.0% (0)
1
0.0% (0)

Loading comments...

Credits

Writers
  • Talha Anjum
  • Talhah Yunus