Naresh Iyer - Roobaroo (Romanized)

Genius Romanizations - Pop, India
Naresh Iyer - Roobaroo (Romanized)
27.4K Plays
Duration: 4:43
Lyrics
Aye saala Abhi abhi huaa yaqeen Ki aag hai mujh mein kahi Hui subaah main chal gaya Suraj ko main nigal gaya Roobaroo roshni Roobaroo roshni hey Jo gumshuda sa khwaab tha Voh mil gaya voh khil gaya Woh loha tha pighal gaya Kichhaa kichhaa machal gaya Sitaar mein badal gaya Roobaroo roshni Roobaroo roshni hey Dhuaan chhataa khula gagan mera Nayi dagar naya safar mera Jo ban sake tu hamsafar mera Nazar mila zara Dhuaan chhataa khula gagan mera Nayi dagar naya safar mera Jo ban sake tu hamsafar mera Nazar mila zara Aandhiyon se jaghad rahi hai lau meri Ab mashaalon si badh rahi hai lau meri Naamo nishaan rahe na rahe Ye kaaravaan rahe na rahe Ujaale mein pee gaya Roshan huaa jee gaya Kyon sehte rahe Roobaroo roshni Roobaroo roshni hey Dhuaan chhataa khula gagan mera Nayi dagar naya safar mera Jo ban sake tu hamsafar mera Nazar mila zara Roobaroo roshni Roobaroo roshni hey Aye saala Aye saala Aye saala
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...