Bharat Ka Rahnewala Hoon

Mahendra Kapoor - Pop, हिंदी (Hindi)
Bharat Ka Rahnewala Hoon
18.9K Plays
Duration: 5:30
Lyrics
[Intro] Jab zero diya mere Bharat ne Bharat ne mere Bharat ne Duniya ko tab ginti aayi Taaron ki bhasha Bharat ne Duniya ko pehle sikhlai Deta na dashamlav Bharat to Yoon chaand pe jana mushkil tha Dharti aur chaand ki doori ka Andaza lagana mushkil tha Sabhyata jahan pehle aayi Sabhyata jahan pehle aayi Pehle janmi hai jahan pe kala Apna Bharat wo Bharat hai Jiske peeche sansar chala Sansar chala aur aage badha Yoon aage badha, badhta hi gaya Bhagwan kare ye aur badhe Badhta hi rahe aur phoole phale Badhta hi rahe aur phoole phale (Chup kyun ho gye?) (Aur sunaao) [Chorus] Hai preet jahan ki reet sada Hai preet jahan ki reet sada Hai preet jahan ki reet sada Main geet wahan ke gaata hoon Bharat ka rehne wala hoon Bharat ki baat sunata hoon Hai preet jahan ki reet sada [Verse] Kaale gore ka bhed nahi Har dil se humara naata hai Kuch aur na aata ho humko Humein pyar nibhana aata hai Jisе maan chuki sari duniya O jise maan chuki sari duniya Main baat... Main baat wohi dohrata hoon [Chorus] Bharat ka rehne wala hoon Bharat ki baat sunata hoon Hai preet jahan ki reet sada [Verse] Jeetе ho kisi ne desh toh kya Humne toh dilon ko jeeta hai Jahan Ram abhi tak hai nar mein Naari mein abhi tak Sita hai Itne paawan hai log jahan O itne paawan hai log jahan Main nit-nit.. Main nit-nit sheesh jhukata hoon [Chorus] Bharat ka rehne wala hoon Bharat ki baat sunata hoon [Instrumental-break] [Verse] Itni mamta nadiyon ko bhi Jahan maata kehke bulatein hai Itna aadar insaan toh kya Patthar bhi puje jaate hai Us dharti pe maine janam liya Ho, us dharti pe maine janam liya Ye soch... Ye sochke main itrata hoon [Chorus] Bharat ka rehne wala hoon Bharat ki baat sunata hoon Hai preet jahan ki reet sada
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Writers
- Indeevar