Duniya Ne Mera Sab Kuch

Album cover art for "Duniya Ne Mera Sab Kuch" by Mohammed Aziz

Mohammed Aziz - Rock, Pop

Duniya Ne Mera Sab Kuch

0 Plays

Duration: 6:36

View ArtistView Album

Lyrics

Khatam aakhir, ye mohabbat ka fasaana ho gaya Heer ki doli gayi, Raanjha deewana ho gaya Duniya ne mera sab kuch cheena (x2) Nahi jeena mujhe mar jaana hai Mil gaya khuda bhi duniya se Bas ye shikwa kar ke jaana hai Duniya ne mera sab kuch cheena Nahi jeena mujhe mar jaana hai.. Mein suraj, chaand, sitaaron ko Mitti mein aaj milaa deta Ye mere bas mein hota toh Duniya ko aag laga deta Itni bedard ye duniya hai Aisa bedard zamaana hai Nahi jeena mujhe mar jaana hai.. Duniya ne mera sab kuch cheena Nahi jeena mujhe mar jaana hai.. Mein kis ke liye, kis liye jiyu Ab dil mein koi aas nahi Apne gham pe rone ke liye Aansu bhi mere paas nahi Pehle tha aashiq naam mera Ab mera naam dewaana hai Duniya ne mera sab kuch cheena Nahi jeena mujhe mar jaana hai.. Sajde toh karunga mein tujhko Par koi dua nahi maangunga (x2) Bas aaj ke baad mein kuch tujhse Ae mere khuda nahi maangunga.. Gar daaman yaar ka choot gaya Ab mera kaun thikaana hai.. Nahi jeena mujhe mar jaana hai Duniya ne mera sab kuch cheena Nahi jeena mujhe mar jaana hai.. Mil gaya Khuda bhi duniya se Bas ye shikwa kar jaana hai Nahi jeena mujhe mar jaana hai..(x3)

Rate this song

Rate this song

0/5.0 - 0 Ratings

5
0.0% (0)
4
0.0% (0)
3
0.0% (0)
2
0.0% (0)
1
0.0% (0)

Loading comments...

Credits

Writers
  • Anand Bakshi