Piyush Mishra - Aarambh (Romanized)

Album cover art for "Piyush Mishra - Aarambh (Romanized)" by Genius Romanizations

Genius Romanizations - Pop, Romanized

Piyush Mishra - Aarambh (Romanized)

91.1K Plays

View ArtistView Album

Lyrics

Language:

[Intro] Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund "Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do" [Chorus] Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund "Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do" Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do [Chorus] Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund "Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do" Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do [Post-Chorus] Aarambh hai prachand [instrumental break] [Verse 1] Mann kare so praan de, jo mann kare so praan le Wahi toh ek Sarvashaktiman hai Mann kare so praan de, jo mann kare so praan le Wahi toh ek Sarvashaktiman hai [Verse 2] Krishna ki pukaar hai, yeh Bhagavata ka saar hai Ki yuddh hi veer ka pramaan hai Kauravo ki bheed ho ya Paandavo ka need ho Jo lad saka hai wohi toh mahaan hai [Verse 3] Jeet ki hawas nahi, kisi pe koyi vash nahi Kya zindagi hai, thokaron pe maar do Maut ant hai nahi toh maut se bhi kyun darein? Yeh jaake aasmaan mein dahaad do [Chorus] Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund "Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do" Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do [Post-Chorus] Aarambh hai prachand [instrumental break] [Verse 3] Ho daya ka bhaav, ya ki shaurya ka chunaab Ya ki haar ka woh ghaab, tum yeh soch lo Ho daya ka bhaav, ya ki shaurya ka chunaab Ya ki haar ka woh ghaab, tum yeh soch lo [Verse 4] Ya ki poore bhaal par jala rahe vijay ka laal Laal yeh gulaal, tum yeh soch lo Rang Kesari ho ya, mridang Kesari ho Ya ki Kesari ho taal, tum yeh soch lo [Verse 4] Jis kavi ki kalpana mein zindagi ho prem geet Uss kavi ko aaj tum nakaar do Bheegti nason mein aaj, fulti ragon mein aaj Jo aag ki lapat ka tum baghaar do [Chorus] Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund "Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do" Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do [Post-Chorus] Aarambh hai prachand Aarambh hai prachand Aarambh hai prachand

Rate this song

Rate this song

0/5.0 - 0 Ratings

5
0.0% (0)
4
0.0% (0)
3
0.0% (0)
2
0.0% (0)
1
0.0% (0)

Loading comments...

Credits

Credits Not Found