Kya Din The Woh

Lyrics
[Intro] Robert Tar! Kuch shot huye the pehle ke Woh sab bata rela hun Maza aa rela public ko sunne ke liye To apun bhi soche suna deve kya Suno [Verse 1] Haan! Gaon ke train mein safar kara Bathroom ke paas so ke Paani ke chheentein udte the Log jaate haath dho ke Phir hum bhi kahan mauke chhodte Fir seedha kya bhid jaate the Woh bhi kya din the Chalu ticket pe chadh jaate the TC jis dabbe mein chadhta Us dabbe se watt jaate the Ghar se laaye dabba Newspaper pe baith ke khaate the Sunn mein koyi pee rela quarter Koyi khele jua Bantai log darwaze pe Haan uda rahe dhuan Fir kya kisse dosti kisse lafda Safar yun hi kat jaata tha Aaj udd raha first class beta Train mein main bhi jaata tha Sab cheezon ke maze le beta Chhod de rona dhona Darwaze pe soya dekh ke Fan pucche tum Bantai ho naa [Chorus] Kya din the woh beta Main safar nahi, suffer karne aaya hoon (Suffer karne aaya hoon) Ye sab dekhela life mein main Tab jaake yahan tak ke aaya hoon (yahan tak ke aaya hoon) yo Kya din the woh beta Main safar nahi suffer karne aaya hoon (Yeah, yeah!) Ye sab dekhela life mein main Tab jaake yahan tak ke aaya hoon (Aur bohot aage jaana hai) [Verse 2] Haan area mein main akela tha Jisko milne laga fame Jalti unki soch ke unki life Kyun nahi mujhse same Mujhse bhidne aate saale Bina matlab matter karne Mitna rehta saath Hum dono jaate the Battle karne rap nahi Steet mein fight karne Bees log aaye the saale saare Woh mujhko bharne maara mujhko Chair toda mere peeth pe Shukriya un logon ko aaj kahani ye be Kehne mujhe beat pe Jo bhi main tha jisne maara Usko maara usko dhar liya Shot diya bheje pe haan Uss din se woh sudhar gaya Aise kaafi matter kabhi diya kabhi khaya Alter hoon main itna kaise area ne banaya [Chorus] Kya din the woh beta Main safar nahi suffer karne aaya hoon (Suffer karne aaya hoon) Ye sab dekhela life mein main Tab jaake yahan tak ke aaya hoon (Yahan tak ke aaya hoon) yo Kya din the woh beta Main safar nahi suffer karne aaya hoon (Yeah, yeah!) Ye sab dekhela life mein main Tab jaake yahan tak ke aaya hoon (Aur bohot aage jaana hai) [Verse 3] Haan shoot ke baad keema pao Dharavi bismillah pe Scooty pe poora mumbai ghooma Raste pe full chilla ke Mujhko barosa Allah pe haan Tere bina sab khallas hai Malum tha main aage badunga Ek din mere qala se Par maza kiya main bohot Mere struggle days pe sacchi mein After party karke aa rahe So rahe saare gachhi pe Dosti-yaari apni bole aiba bantai bachhi se Kharcha apna nikalta tha studio ke kharchi se Studio dala recording aur mixing mastering karta khud Customers ke kabhi-kabhi haan shoot bhi karke aata khud Ghar ke hall mein neeche baith ke kaam seedha chaubis Paanch-sau waale home theater pe gaane bana ke lofi Theater mein kabhi maara spray kabhi table chair uthaya Jahan se murdaal aa rahe the sab karke paisa banaya Jo bhi manga bachpan se abba ne sab dilaya Jiya raja jaise lekin ab kuchh banne ka time aaya [Chorus] Kya din the woh beta Main safar nahi suffer karne aaya hoon (Suffer karne aaya hoon) Ye sab dekhela life mein main Tab jaake yahan tak ke aaya hoon (Yahan tak ke aaya hoon) yo Kya din the woh beta Main safar nahi suffer karne aaya hoon (Yeah, yeah!) Ye sab dekhela life mein main Tab jaake yahan tak ke aaya hoon (Abhi bohot aage jaana hai)
Rate this song
0/5.0 - 0 Ratings
Loading comments...
Credits
- Writers
- Emiway Bantai