Nishaan

Album cover art for "Nishaan" by Ahmer

Ahmer - Rap, Desi Hip-Hop

Nishaan

0 Plays

View ArtistView Album

Lyrics

Language:

[Intro: Ahmer] Zameen, zamaa Dhuaan, dhuaan Wali, shaitaan Yaksha, fasaa Aman, gumaan Qulab, gulaa Gunaah, sawaal Nafas, azaa Nishaan [Verse 1] Iss ghaflat ke ghar mein darwaze hai bandh Main dhoondu madad par koi na mere sang Ye ankhe unn yaado mein hi mar miti Jo lauti nahi, kahan ko chali? Kahan chal bassi? Hamari umeedein? Kyu ye khushaali ko seenche? Kaisa ghulami ka beej ye? Jo pale sehlabo ke neeche Khaali kitabo ke beech mein Hum jali ikhlaqo ko seekhe Farmayein na cheekhye Ghabraye na peetyein Ye kaisa qanoon? Jo haq ka hareef hai? [Bridge] Main Abdul Qadeer, main na koi mareez Main chahta kaash hota na aisa naseeb Bure sapne hai mere zehan mein likhe Wo zalim jo bachpan mein ek din mile [Verse 2] Wo zakhm bhi tab se kabhi na bare Wo shak hi nahi bas nafrat hi hai Wo nafrat nahi bas wo hasrat hi hai Wo hasrat nahi bas woh taaqat hi hai Jo bani ibaadat ek aafat hi hai Jo baje mere kaano mein Bhaagu inn awaaz se Bassi mеre saanso mein Kahani har aansu mein Darr sе jo kaanpu mein, aata nahi kabu mein Miti lakeere in haatho se Baara saal ki umar se mera dum ghute Ye aag phehle aur na ruke Maine pehchana kabhi khud ko na Thi zindagi na kabhi khushnuma Ye khayalat bhaage mere peeche, kare paagal mujhe Jeene ka maqsad kya? Jawab maangu kyu hai chup khuda? Chal raha barbaadiyo ka samaa Jaise dafan hun main zameen ke neeche Meri cheekhe sun ke bhi na sunega [Chorus: Junaid Ahmed] Zameen wadaan Zakham navaan Hujoom davaan Wajood maraan Zahar ralaan Sakoon galaan Yi kya gasaan? Fanaah nishaan! (Woah-aaa-wooah) [Instrumental Outro]

Rate this song

Rate this song

0/5.0 - 0 Ratings

5
0.0% (0)
4
0.0% (0)
3
0.0% (0)
2
0.0% (0)
1
0.0% (0)

Loading comments...

Credits

Writers
  • Ahmer